ek tamasha aur dikhaya ja sakta tha
mujh ko zinda bhi dafnaya ja sakta tha
chiDiyon ki aawaz na kanon tak aa sakti
ghar mein itna shor machaya ja sakta tha
jab tak barf pighalti ya barkha rut aati
dariya aur bhi kaam mein laya ja sakta tha
tum ne apna rasta KHud roka tha warna
tum jab aana chahte aaya ja sakta tha
chhoTi chhoTi KHushiyan banTi ja sakti thin
hanste hanste gham apnaya ja sakta tha
kitna hi masruf tha phir bhi apni KHatir
thoDa sa to waqt bachaya ja sakta tha
jitne waqt mein tum ne ghar aabaad kiya hai
utne waqt mein shahr basaya ja sakta tha
gardan mein bal aana hi tha phir bhi 'saifi'
bojh zara sa aur uThaya ja sakta tha
Ghazal
Ek tamasha aur dikhaya ja sakta tha
muneer saifi