اردو हिंदी
Ek tariKH muqarrar pe to har mah mile | Shaahi Shayari
ek tariKH muqarrar pe to har mah mile

Ghazal

Ek tariKH muqarrar pe to har mah mile

Umair Najmi

;

ek tariKH muqarrar pe to har mah mile
jaise daftar mein kisi shaKHs ko tanKHwah mile

rang ukhaD jae to zahir ho plastar ki nami
qahqaha khod ke dekho to tumhein aah mile

jama the raat mere ghar tere Thukrae hue
ek dargah pe sab randa-e-dargah mile

main to ek aam sipahi tha hifazat ke liye
shah-zadi ye tera haq tha tujhe shah mile

ek udasi ke jazire pe hun ashkon mein ghira
main nikal jaun agar KHushk guzargah mile

ek mulaqat ke Talne ki KHabar aise lagi
jaise mazdur ko haDtal ki afwah mile

ghar pahunchne ki na jaldi na tamanna hai koi
jis ne milna ho mujhe aae sar-e-rah mile