اردو हिंदी
Ek surat nazar aai thi abhi | Shaahi Shayari
ek surat nazar aai thi abhi

Ghazal

Ek surat nazar aai thi abhi

Karrar noori

;

ek surat nazar aai thi abhi
dil ne taswir banai thi abhi

kaun ho sakta hai aane wala
ek aawaz si aai thi abhi

ek surat thi ki dil hi dil mein
ek surat se milai thi abhi

sab ki aankhon mein nazar aane lagi
dil mein surat jo chhupai thi abhi

baat kahte hi zara kho se gae
baat mushkil se banai thi abhi

phir wafadar nazar aane laga
bewafa jis se laDai thi abhi

sath apne wo KHuda tha shayad
sath apne jo KHudai thi abhi