ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha
kis se puchhun tere aaqa ka pata ai rahwar
ye alam wo hai na ab tak kisi shane se uTha
halqa-e-KHwab ko hi gird-e-gulu kas Dala
dast-e-qatil ka bhi ehsan na diwane se uTha
phir koi aks shuaon se na banne paya
kaisa mahtab mere aaina-KHane se uTha
kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchante hi
pas baiTha hua har dost bahane se uTha
Ghazal
Ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
Parveen Shakir