ek suraj ka kya zikr hai kahkashaen chalin
main chala to mere sath sari dishaen chalin
aage aage junun tha mera gard uData hua
pichhe pichhe mere aandhiyon ki balaen chalin
koi zanjir TuTi thi ya dil ki aawaz thi
daere se banai hui kyun sadaen chalin
main chala to har ek chiz Thahri hui si lagi
main ruka to ye dharti chali ye fazaen chalin
ek shahadat-numa tishnagi thi muqaddar mera
main jidhar bhi gaya sath mein karbalaen chalin
jaane kis ke rasile labon ke mahak lai thin
zaKHm aawaz dene lage jab hawaen chalin
un se milne ka manzar bhi dil-chasp tha ai 'asar'
is taraf se bahaaren chalin aur udhar se KHizaen chalin
Ghazal
Ek suraj ka kya zikr hai kahkashaen chalin
Izhar Asar