اردو हिंदी
Ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur | Shaahi Shayari
ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur

Ghazal

Ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur

Nadeem Bhabha

;

ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur
mera to zikr hi na tha par tera nam tha zarur

kanp rahe the mere hath chiKH rahe the baam-o-dar
zahr agar nahin tha wo aaKHiri jam tha zarur

yunhi nahin tamam umr sajde mein hi guzar gai
ishq ki is namaz ka koi imam tha zarur

yaad abhi nahin hamein zehn pe zor de chuke
tum hi se milne aae the tum se hi kaam tha zarur

tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyar aa gaya
chuma nahin tumhein miyan garche maqam tha zarur

aap mujhe bhula chuke yaad to kijiye janab
meri bhi ek shanaKHt thi mera bhi nam tha zarur