ek shai thi ki jo paikar mein nahin hai apne
jis ko dete ho sada ghar mein nahin hai apne
tujhe pane ki tamanna tujhe chhune ka KHayal
aisa sauda bhi koi sar mein nahin hai apne
tu ne talwar bhi dekhi nigah-e-yar bhi dekh
ye tab-o-tab to KHanjar mein nahin hai apne
kis qabile se uDa lai hai fauj-e-ada
aisa jarrar to lashkar mein nahin hai apne
sar-nigun jis ki faqiri ke muqabil shahi
ab wo shai mard-e-qalandar mein nahin hai apne
lakh kije talab-e-rahat-o-aram 'sharif'
kya milega jo muqaddar mein nahin hai apne
Ghazal
Ek shai thi ki jo paikar mein nahin hai apne
Shareef Ahmad Shareef