ek se ek hai ghaarat-gar-e-iman yahan
ai mere dil tera allah nigahban yahan
chhoD kar jaun tere shahr ki galiyan kaise
dil yahan ruh yahan jism yahan jaan yahan
kis se puchhun ki wo be-mehr kahan rahta hai
dil-e-be-tab meri jaan na pahchan yahan
jaane is shahr ka meyar-e-sadaqat kya hai
but bhi hathon mein liye phirte hain quran yahan
TuT jae to ise dil ka laqab milta hai
chaak ho jae to hota hai gareban yahan
aur honge jinhen tufan Dubo deta hai
hum jo Dube to bahut aaenge tufan yahan
ab yahi log karenge nai duniya tamir
tu ne dekha hai jinhen be-sar-o-saman yahan
'saif' kya KHub zamane ki hawa badli hai
taKHt-e-taus pe aa baiThe hain darban yahan
Ghazal
Ek se ek hai ghaarat-gar-e-iman yahan
Saifuddin Saif