ek sannaTa sa taqrir mein rakkha gaya tha
KHwab hi KHwab ki tabir mein rakha gaya tha
aagahi rose Daraati rahi manzil se magar
hausla panw ki zanjir mein rakkha gaya tha
kaun bismil tha bata hi nahin sakta koi
zaKHm-e-dil sina-e-shamshir mein rakkha gaya tha
saz-o-awaz ke milne se asar hone laga
tera lahja meri tahrir mein rakkha gaya tha
daman-e-husn-e-talab zaKHm ki daulat ke siwa
dard bhi ishq ki jagir mein rakkha gaya tha
ek manzar mein KHala pur kiya tanhai ne
mera chehra wahin taswir mein rakkha gaya tha
KHud-parasti se bachata raha ham-zad mera
aaina nusKHa-e-iksir mein rakkha gaya tha
zindagi maut ke pahlu mein numu pati rahi
ek KHaraba yahan tamir mein rakkha gaya tha
![ek sannaTa sa taqrir mein rakkha gaya tha](/images/pic02.jpg)
Ghazal
Ek sannaTa sa taqrir mein rakkha gaya tha
Tasneem Abidi