ek sajda KHush-gulu ke aage sahwan ho gaya
us pe koi mo'tariz hoga to qasdan ho gaya
kufr ka fatwa hua sadir to KHush-qismat tha main
tazkira mera bhi har masjid mein zimnan ho gaya
aanan-fanan mein kisi ne dast-giri ki meri
kaam tha mushkil ka ahlan aur sahlan ho gaya
tauan-o-karhan baDhate hain mulaqaton ko hath
sab se yarana mera mauquf qatan ho gaya
KHwab hi is bar dekha tha kabhi main ne jise
du-badu us se tasadum ittifaqan ho gaya
mustahiq jannat ka ek 'kawish' nahin wo bhi to hai
qatl mera ek jahil se jo sharan ho gaya
Ghazal
Ek sajda KHush-gulu ke aage sahwan ho gaya
Kavish Badri