ek sahra hai meri aankh mein hairani ka
mere andar to magar shor hai tughyani ka
koi darwesh-e-KHuda-mast abhi shahr mein hai
naqsh baqi hai abhi dasht ki virani ka
sans roke hai khaDi dar se tere dur hawa
KHak-e-dil ye hai sabab teri pareshani ka
hum faqiron ka tawakkul hi to sarmaya hai
shikwa kis munh se karen be-sar-o-samani ka
dil ke bazar mein halchal si macha di us ne
mujh ko bhi dhoka hua yusuf-e-la-sani ka
dekhta hun main abhi KHwab usi ke shab o roz
ye KHulasa hai mere qissa-e-tulani ka
Ghazal
Ek sahra hai meri aankh mein hairani ka
Rafiq Raaz