ek rauzan ke abhi kirdar mein hun main
ghaur se dekho isi diwar mein hun main
sab manazir zard se paDne lage hain ya
be-yaqini ke isi aazar mein hun main
TuT jae aasman dharti bhi phaT jae
kya mujhe parwa ki bazm-e-yar mein hun main
zehn mein aulad hai aur ghar ki jaanib hun
ruk nahin sakta abhi raftar mein hun main
ghar ki har shai kyun mujhe be-nur lagti hai
kya ziyaada aaj kal bazar mein hun main
shohraton ka aaKHiri chaara jaraem the
dekhiye ab kis qadar aKHbar mein hun main
guftugu se kab mujhe parhez hai 'saurabh'
bolta sunta magar ashaar mein hun main
Ghazal
Ek rauzan ke abhi kirdar mein hun main
Saurabh Shekhar