اردو हिंदी
Ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha | Shaahi Shayari
ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha

Ghazal

Ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha

Abbas Tabish

;

ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha
meri wahshat ne mujhe raqs-e-digar par rakkha

mere malik ne tujhe aaina-dari de kar
nigaran tujh ko mere husn-e-nazar par rakkha

la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin
shahr ko us ne meri KHair-KHabar par rakkha

zindagi tu ne qadam moD diye aur taraf
aur andar se mujhe aur safar par rakkha

ahl-e-wahshat ko magar kaun batata ja kar
ho gaya naf-e-ghazalin koi ghar par rakkha

konplen phuT paDin dast-e-dua se mere
dam-e-amin jo mein dida-e-tar par rakkha

KHatm hoti hi nahin girya-o-zari un ki
mir ne hath to har lafz ke sar par rakkha

main ne is Dar se use toD liya hai 'tabish'
sukh jae na kahin shaKH-e-shajar par rakkha