ek qadam KHushki par hai aur dusra pani mein
sari umr basar kar di hai naql-e-makani mein
aansu bahte hain aur dil ye soch ke Darta hai
aankh kahin koi baat na kah de us se rawani mein
rah mein sare charagh usi ke dam se raushan hain
jo paiman hawa se bandha tha nadani mein
sare sahil sare sagar us ki hain miras
jis ke panw zamin par Thahren bahte pani mein
do jiwan taraj hue tab puri hui baat
kaisa phul khila hai aur kaisi virani mein
jab use dekho aankh aur dil ko sath mila lena
ek aaina kam paD jaega hairani mein
Ghazal
Ek qadam KHushki par hai aur dusra pani mein
Jamal Ehsani