ek pauda jo uga hai use pani dena
apne aangan ko nai rut ki kahani dena
teri aawaz se jab TuTe mere ghar ka sukut
dar-o-diwar ko bhi sehr-bayani dena
ponchh lena meri palkon se lahu ki bunden
meri aankhon ko agar manzar-e-sani dena
kashtiyan dena magar izn-e-safar se pahle
Thahre pani ko bhi dariya ki rawani dena
yun jalun main ki na sharminda rahun suraj se
aur kuchh aur mujhe soKHta-jaani dena
ret par naqsh-e-kaf-e-pa nahin rahne pate
ahl-e-sahra ko koi aur nishani dena
Ghazal
Ek pauda jo uga hai use pani dena
Qaisar Shameem