ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya
wo juda hote hue kuchh phul basi de gaya
noch kar shaKHon ke tan se KHushk patton ka libas
zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya
subh ke tare meri pahli dua tere liye
tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya
log malbon mein dabe sae bhi dafnane lage
zalzala ahl-e-zamin ko bad-hawasi de gaya
tund jhonke ki ragon mein ghol kar apna dhuan
ek diya andhi hawa ko KHud-shanasi de gaya
le gaya 'mohsin' wo mujh se abr banta aasman
us ke badle mein zamin sadiyon ki pyasi de gaya
Ghazal
Ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya
Mohsin Naqvi