اردو हिंदी
Ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae | Shaahi Shayari
ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae

Ghazal

Ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae

Mahtab Haider Naqvi

;

ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae
tujh se jo baat bhi kar le wo suKHan-war ho jae

ab yahan sirf pari-chehra rahenge aa kar
aur koi in ke alawa hai to bahar ho jae

ho gaya rishta-e-jaan phir dil-e-nadan ke sath
is sipahi ki tamanna hai ki lashkar ho jae

ab ke Thahrai hai hum ne bhi yahi shart-e-wafa
jo bhi is shahr mein aae wo sitam-gar ho jae

yani ai dida-e-tar teri inayat hai ki bas
warna maidan-e-suKHan aaj hi banjar ho jae

hum ne aashob ke aalam mein kahi hai ye ghazal
so ye KHwahish hai ki har sher gul-e-tar ho jae