اردو हिंदी
Ek neamat tere mahjur ke hath aai hai | Shaahi Shayari
ek neamat tere mahjur ke hath aai hai

Ghazal

Ek neamat tere mahjur ke hath aai hai

Manzar Lakhnavi

;

ek neamat tere mahjur ke hath aai hai
id ka chand charagh-e-shab-e-tanhai hai

qaid mein bas ye koi kah de bahaar aai hai
phir to main hun meri zanjir hai angDai hai

kitna dilchasp hai allah mera qissa-e-gham
aaj koi nahin kahta mujhe nind aai hai

zahr aur zahr ki tasir batane wale
ab samajh le ki na sauda hai na saudai hai

subh tak hoga mere ghar pe hujum-e-KHilqat
raat ki raat faqat aalam-e-tanhai hai

daman-o-jeb-o-gareban bhi nisar-e-wahshat
ab kisi baat mein zillat hai na ruswai hai

do ghaDi dil ke bahalne ka sahaara bhi gaya
lijiye aaj tasawwur mein bhi tanhai hai

muddaten guzrin hamein ashk bahate 'manzar'
aaj KHud us ne hansaya to hansi aai hai