ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam
ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam
zulf aawara gareban chaak ghabrai nazar
in dinon ye hai jahan mein zindagani ka nizam
chand tare TuT kar daman mein mere aa gire
main ne puchha tha sitaron se tere gham ka maqam
kah rahe hain chand bichhDe rahrawon ke naqsh-e-pa
hum karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam
paD gain pairahan-e-subh-e-chaman par silwaTen
yaad aa kar rah gai hai be-KHudi ki ek sham
teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni
waqt ke bazar mein har chiz ke lagte hain dam
hum banaenge yahan 'saghar' nai taswir-e-shauq
hum taKHayyul ke mujaddid hum tasawwur ke imam
Ghazal
Ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam
Saghar Siddiqui