اردو हिंदी
Ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun | Shaahi Shayari
ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun

Ghazal

Ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun

Muneer Niyazi

;

ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun
ek taraf KHamoshi kar dun ek taraf aabaad karun

manzil-e-shab jab tai karni hai apne akele dam se hi
kis ke liye is jagah pe ruk kar din apna barbaad karun

bahut qadim ka nam hai koi abr-o-hawa ke tufan mein
nam jo main ab bhul chuka hun kaise us ko yaad karun

ja ke sunun aasar-e-chaman mein saen saen shaKHon ki
KHali mahl ke burjon se didar-e-barq-o-baad karun

sher 'munir' likhun main uTh kar sehn-e-sahar ke rangon mein
ya phir kaam ye nazm-e-jahan ka sham Dhale ke baad karun