ek nae sanche mein Dhal jata hun main
qatra qatra roz pighal jata hun main
jab se wo ek suraj mujh mein Duba hai
KHud ko bhi chhu lun to jal jata hun main
aaina bhi hairani mein Duba hai
itna kaise roz badal jata hun main
miThi miThi baaton mein malum nahin
jaane kitna zahr ugal jata hun main
ab Thokar khane ka mujh ko KHauf nahin
girta hun to aur sambhal jata hun main
akasr ab apna pichha karte karte
KHud se kitni dur nikal jata hun main
Ghazal
Ek nae sanche mein Dhal jata hun main
Bharat Bhushan Pant