ek na-maqbul qurbani hun main
sar-phiri ulfat mein la-sani hun main
main chala jata hun wan taklif se
wo samajhte hain ki la-sani hun main
kan dharte hi nahin wo baat par
kab se masruf-e-sana-KHwani hun main
zindagi hai ek kirae ki KHushi
sukhte talab ka pani hun main
mujh se baDh kar kya koi hoga amir
qimti wirse ki arzani hun main
chandni raaton mein yaron ke baghair
chandni raaton ki virani hun main
kahna sunna un se mujh ko kuchh nahin
sirf ek tamhid-e-tulani hun main
mujh ko pachhtana nahin aata 'adam'
ek daulat-mand nadani hun main
Ghazal
Ek na-maqbul qurbani hun main
Abdul Hamid Adam