اردو हिंदी
Ek muddat se yahan Thahra hua pani hai | Shaahi Shayari
ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

Ghazal

Ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

Farah iqbal

;

ek muddat se yahan Thahra hua pani hai
dasht-e-tanhai hai aur aankh mein virani hai

dekho KHamosh si jhilon ke kinare ab bhi
sog mein lipTe daraKHton ki farawani hai

aaina dekhne ki tab kahan thi mujh mein
saf likkhi thi jo chehre pe pashemani hai

dasht-e-wahshat mein charaghon ko jalaun kaise
in charaghon se hawaon ko pareshani hai

saya-e-abr-e-tawajjoh ki KHabar kya hoti
zindagi main ne to sahraon se pahchani hai

apne mazi ko mujhe dafn bhi KHud karna hai
ye qayamat bhi dil-o-jaan pe abhi Dhani hai

ab ke chamka hai sitara jo 'farah' baKHt ka hai
tere atraf usi ki hai jo tabani hai