اردو हिंदी
Ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi | Shaahi Shayari
ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi

Ghazal

Ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi

Iffat abbas

;

ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi
itna shaffaf ki ham-rang-e-faza hun main bhi

tu bhi waqif meri tasir ke mahshar se he
aur minnat-kahs-e-altaf-o-ata hun main bhi

tu manadir ke singhasan pe ba-sad izz-o-waqar
phul ki thaal mein lau deta diya hun main bhi

tu bhi izhaar-e-talluq ke sabab DhunDta hai
shiddat-e-shauq se joya-e-raza hun main bhi

haram-e-naz ki chilman se ulajhne wali
dil-e-betab-e-mohabbat ki dua hun main bhi

mushtari mera bhi aaega ye main jaanta hun
pahle bazar mein aane se bika hun main bhi

ho jo yak-pahlu-o-yak-rang nahin hai tu 'shahab'
shoala-o-shabnam-o-simab-o-saba hun main bhi