ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai
karb-e-ehsas hai ya karb-e-ana hai kya hai
daur-e-hazir mein har ek shaKHs hai kyun sahma hua
dil mein jo KHauf hai wo KHauf-e-fana hai kya hai
mujh ko is lafz ka mafhum bata do yaro
dosti nam hai jis ka wo jafa hai kya hai
baat matlab ki kahun us se magar pahle zara
ye to malum ho wo KHush hai KHafa hai kya hai
is qadar ranj-o-alam itne masaib tauba
zindagi silsila-e-ah-o-buka hai kya hai
jo giraftar hua is mein ulajhta hi gaya
zulf-e-jaanan bhi koi dam-e-bala hai kya hai
kitni hi bar ye chaha ki zara dekhun to
us ki aankhon mein jo ek nam likha hai kya hai
Ghazal
Ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai
Obaidur Rahman