اردو हिंदी
Ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi | Shaahi Shayari
ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi

Ghazal

Ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi

Najeeb Ahmad

;

ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi
kuchh nukile sang the kuchh ret dariyaon mein thi

kya hua wo garm dopahron mein yaKH hona mera
kya hui wo dhup si lazzat ki jo chhanw mein thi

kya KHabar kya jism the kyun mauj-e-sahra ho gae
kya bataen kis bala ki gunj dariyaon mein thi

shahr wale kab ke mahrum-e-basarat ho chuke
ratjage ki rasm to bas aankh ke ganw mein thi

apne sauda ke liye ye izzat-e-sang-e-rasa
kuchh adu ke hath mein kuchh apni rekhaon mein thi

ab to jismon mein lahu ki bund tak baqi nahin
phir bhi hum ko luTne ki hirs aaqaon mein thi

tu agar aazad lamhon ka payambar hai 'najib'
raat ki zanjir kyun phir waqt ke panw mein thi