ek mehman ka hijr tari hai
mezbani ki mashq jari hai
sirf halki si be-qarari hai
aaj ki raat dil pe bhaari hai
koi panchhi koi shikari hai
zinda rahne ki jang jari hai
bas tere gham ki gham-gusari hai
aur kya shaeri hamari hai
aap karte hain shabnami baaten
aur meri pyas reg-zari hai
ab kahan dasht mein junun wale
jis ko dekho wahi shikari hai
mere aansu nahin hain la-waris
ek tabassum se rishte-dari hai
Ghazal
Ek mehman ka hijr tari hai
Fahmi Badayuni