ek markaz pe simaT aai hai sari duniya
hum tamasha hain tamashai hai sari duniya
jashn hoga kisi aaina-sifat ka shayad
sang hathon mein uTha lai hai sari duniya
wo KHuda to nahin lekin hai KHuda ka banda
jis ki aawaz se tharrai hai sari duniya
wo bhi duniya ke liye chhoD raha hai mujh ko
main ne jis ke liye Thukrai hai sari duniya
kyun nigahon mein khaTakta hai nizam-e-qudrat
kyun baghawat pe utar aai hai sari duniya
maut ko dost banana hi munasib hai 'bashar'
zindagi ki to tamannai hai sari duniya
Ghazal
Ek markaz pe simaT aai hai sari duniya
Charan Singh Bashar