ek manzar mein kai bar use dekh ke dekh
dekhna hai to lagatar use dekh ke dekh
koi suraj se mila pata hai kab tak aankhen
phir bhi ek bar lagatar use dekh ke dekh
ye khuli aankh ka manzar hi nahin hai meri jaan
band aankhon se bhi ek bar use dekh ke dekh
barf aankhon mein liye dur khaDe shaKHs ki KHair
kaise jalne lage ruKHsar use dekh ke dekh
koi dalan se jugnu na idhar aa nikle
KHwab ho jaen na bedar use dekh ke dekh
dekhte dekhte kya kuchh nazar aane lag jae
aaina-KHane ke us par use dekh ke dekh
hai yaqin chaal sitaron ki badal jaegi
ek din subh ka aKHbar use dekh ke dekh
lab hain jis nam ki tasbih use sun ke tu sun
aankh jis ki hai talabgar use dekh ke dekh
gard tanhai ki ab chhoD uDana 'sima'
jhenpte hain dar-o-diwar use dekh ke dekh
Ghazal
Ek manzar mein kai bar use dekh ke dekh
Seema Naqvi