ek manzar kahkashani ek KHat-e-bar-ab bhi
zindagi baala-nashini bhi kamand-e-KHwab bhi
kuchh junun ki sarfaroshi kuchh KHirad ka bankpan
warna hai uzw-e-muattal aalam-e-asbab bhi
dur sahil se tamasha dekhte rahte hain log
kashtiyan hoti hain zer-e-ab bhi gharqab bhi
KHastagi mein tujh se kya shikwa ki ai jaan-e-murad
is bulandi se nazar aate nahin ahbab bhi
dil bhi lag jaega mushkil sahl bhi ho jaega
kar-e-duniya mein mila den kar-e-pech-o-tab bhi
apni dhun par lahlahana kisht-e-jaan ki KHasiyat
mausamon ke darmiyan tishna bhi hon sairab bhi
us nazar ki shoKHiyon ne la-ubaali kar diya
us ki nazron ne sikhae shauq ke aadab bhi
farq itna hai ki hairan ho ke rah jati hai aankh
aag barsata tha pahle dida-e-shadab bhi
tairne joDe baton ke ab yahan aate nahin
ganw mein pani se KHali ho gaya talab bhi
tere jalwon ne miTaya imtiyaz-e-roz-o-shab
dekhta hun mah-e-nau bhi mehr-e-alam-tab bhi
main tha na-malum shai thi dida-e-hairan tha
aise manzar se qarin tha mauja-e-sailab bhi
shairi kya hai 'amin-ashraf' nawa-e-barg ne
ishq-nama bhi ghazal bhi aasman mehrab bhi

Ghazal
Ek manzar kahkashani ek KHat-e-bar-ab bhi
Syed Amin Ashraf