ek manzar iztirabi ek manzar se ziyaada
dil hai sahil dil safina dil samundar se ziyaada
do jahan ki neamaton ko do badan se zarb de kar
ek lamha mangta hun banda-parwar se ziyaada
ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochta hun
phul mein hoti nazakat kash patthar se ziyaada
hasrat-e-shahr-e-nasiban kya tujhe malum bhi hai
dasht hai aabaad yani ishq ke ghar se ziyaada
chashm-o-lab se pahle ek tishna talluq chahta hun
aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada
ek larzida faza hai aasman ki wusaton mein
ek parinda uD raha hai apne shah-par se ziyaada
bastiyon ke log sare barf hote ja rahe hain
be-ruKHi achchhi nahin 'KHurshid-akbar' se ziyaada
Ghazal
Ek manzar iztirabi ek manzar se ziyaada
Khursheed Akbar