اردو हिंदी
Ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin | Shaahi Shayari
ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin

Ghazal

Ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin

Sahba Waheed

;

ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin
hath mein de hath apna sar-ba-sar koi nahin

sham mushfiq hai qarib aa dard ka darman karen
raat ke sahra mein apna chaara-gar koi nahin

ret ke sine pe rah rah kar chamak uThta hai kuchh
ab ba-juz ek naqsh-e-pa ke rahbar koi nahin

moD ke baen taraf hai sang-andazon ka shahr
dil sa aaina na le ja shishagar koi nahin

jaane ye aaseb hai kis ki sada ka dar-ba-dar
main yahan hun main yahan hun dida-war koi nahin

DhunDte phirte ho kis ko chand ki mashal liye
zindagi ek fasla hai muntazar koi nahin