ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin
hath mein de hath apna sar-ba-sar koi nahin
sham mushfiq hai qarib aa dard ka darman karen
raat ke sahra mein apna chaara-gar koi nahin
ret ke sine pe rah rah kar chamak uThta hai kuchh
ab ba-juz ek naqsh-e-pa ke rahbar koi nahin
moD ke baen taraf hai sang andazon ka shahr
dil sa aaina na le ja shishagar koi nahin
jaane ye aaseb hai kis ki sada ka dar-ba-dar
main yahan hun main yahan hun dida-war koi nahin
DhunDte phirte ho kis ko chand ki mashal liye
zindagi ek fasla hai muntazar koi nahin
Ghazal
Ek main hun ek tu hai ba-KHabar koi nahin
Sahba Waheed