ek main aur itne lakhon silsilon ke samne
ek saut-e-gung jaise gumbadon ke samne
miTte jate naqsh dud-e-dam ki aamad raft se
khulte jate be-sada lab aainon ke samne
hai hawa-e-sair-e-ab aur ajnabi si sar-zamin
uD rahi hai KHak-e-kohna sahilon ke samne
aag jalti hai gharon mein ya koi taswir hai
yaadgar-e-jurm-e-adam KHakiyon ke samne
dushmani rasm-e-jahan hai dosti harf-e-ghalat
aadmi tanha khaDa hai zalimon ke samne
chaar chup chizen hain bahr-o-bar falak aur kohsar
dil dahal jata hai in KHali jaghon ke samne
baatin-e-zardar pur-asrar hai jaise 'munir'
kan-e-zar ki band haibat mashalon ke samne
Ghazal
Ek main aur itne lakhon silsilon ke samne
Muneer Niyazi