ek mafruza taqaddus KHud pe tari kar raha hun
koh-e-isyan se bahishti nahr jari kar raha hun
chahta hun arsh-o-kursi tak pahunchna rafta rafta
asfaleni KHwahishon par yun sawari kar raha hun
munhamik hai pairahan shaghli mein kyun chashm-e-taKHayyul
main abhi uryan badan par dast-kari kar raha hun
nafs-e-taskini pe us ne sau taqaze rakh diye hain
main jo har lazzat pe fikr-e-hamd-e-bari kar raha hun
sar-nigun guzra hai shayad ab ke talwaron ka mausam
be-irada shahr ki mardum-shumari kar raha hun
Ghazal
Ek mafruza taqaddus KHud pe tari kar raha hun
Khursheed Akbar