اردو हिंदी
Ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai | Shaahi Shayari
ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai

Ghazal

Ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai

Manmohan Talkh

;

ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai
hui ek umr ki apni tag-o-dau jari hai

kah ke ye mujh se ki is shahr mein ho tum kab se
inT sar par kisi ne jaise ki de mari hai

aur le aae ho tum baaten ye duniya bhar ki
apni baaton se yahan pahle hi be-zari hai

koi jis baat se KHush hai to KHafa dusra hai
kuchh bhi kahne mein kisi se yahi dushwari hai

sath le len ye zara KHud ko to bas chalte hain
aur rahne ke nahin chalne ki tayyari hai

dad jab madd-e-muqabil ke suKHan ki di aaj
dost kahte hain ki matlab ki taraf-dari hai

KHud ko ya dusron ko 'talKH' pareshan na karo
kuchh nahin tum ko faqat jine ki bimari hai