اردو हिंदी
Ek lahraati hui naddi ka sahil hua main | Shaahi Shayari
ek lahraati hui naddi ka sahil hua main

Ghazal

Ek lahraati hui naddi ka sahil hua main

Pawan Kumar

;

ek lahraati hui naddi ka sahil hua main
phir hua ye ki har ek lahr se ghael hua main

ab banate hain mere dost nishana mujh ko
tujh ko pane ki talab mein kisi qabil hua main

dil mein is raaz ko ta-umr chhupa kar rakkha
kis ki chahat mein tha shamil kise hasil hua main

aa gaya ishq ka mafhum samajh mein us ki
us ke KHwabon mein kisi roz jo daKHil hua main

tu suKHan-war hai to mujh ko bhi ye hasil hai sharaf
lafz ban kar tere diwan mein shamil hua main

ek muddat se samajhne mein laga hun KHud ko
yani ab apne liye bhi baDa mushkil hua main