اردو हिंदी
Ek laghzish mein dar-e-pir-e-mughan tak pahunche | Shaahi Shayari
ek laghzish mein dar-e-pir-e-mughan tak pahunche

Ghazal

Ek laghzish mein dar-e-pir-e-mughan tak pahunche

Ravish Siddiqi

;

ek laghzish mein dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
hum bhaTakte the kahan aur kahan tak pahunche

lutf to jab hai ki ai mahram-e-husn-e-guftar
ho koi baat magar husn-e-butan tak pahunche

ye bhi kuchh kam nahin ai rah-raw-e-iqlim-e-yaqin
hum KHarabaat-nashin husn-e-guman tak pahunche

tai hui manzil-e-KHara-shikani do din mein
log sadiyon mein dil-e-shishagaran tak pahunche

zauq-e-shirini-e-guftar fuzun aur hua
zahr jitne the wo sab ahl-e-zaban tak pahunche

wo kahan dard jo dil mein tere mahdud raha
dard wo hai jo dil-e-kaun-o-makan tak pahunche

aag bhaDki hai to ab kaun ye kah sakta hai
shola-e-daman-e-tahzib kahan tak pahunche

mawara lafz o bayan se hai wo husn-e-azali
kam-nazar marhala-e-lafz-o-bayan tak pahunche

faiz-e-mehrab-e-ghazal hai ki 'rawish' ahl-e-nazar
husn-o-ranai-e-andaz-e-bayan tak pahunche