اردو हिंदी
Ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti | Shaahi Shayari
ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti

Ghazal

Ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti

Zeb Ghauri

;

ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti
dil ke bujhne se duniya tarik nahin hoti

jaise apne hath uTha kar ghaTa ko chhu lunga
lagta hai ye zulf magar nazdik nahin hoti

tera badan talwar sahi kis ko hai jaan aziz
ab aisi bhi dhaar us ki barik nahin hoti

sher to mujh se teri aankhen kahla leti hain
chup rahta hun main jab tak tahrik nahin hoti

dil ko sambhaale hansta bolta rahta hun lekin
sach puchho to 'zeb' tabiat Thik nahin hoti