اردو हिंदी
Ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain | Shaahi Shayari
ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain

Ghazal

Ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain

Abdul Hamid

;

ek KHuda par takiya kar ke baiTh gae hain
dekho hum bhi kya kya kar ke baiTh gae hain

puchh rahe hain log are wo shaKHs kahan hai
jaane kaun tamasha kar ke baiTh gae hain

utre the maidan mein sab kuchh Thik karenge
sab kuchh ulTa sidha kar ke baiTh gae hain

sare shajar shadabi sameTe apni apni
dhup mein gahra saya kar ke baiTh gae hain

lauT gae sab soch ke ghar mein koi nahin hai
aur ye hum ki andhera kar ke baiTh gae hain