اردو हिंदी
Ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki | Shaahi Shayari
ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki

Ghazal

Ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki

Zehra Nigaah

;

ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki
donon farz nibha kar us ne sari umr ibaadat ki

dast-e-talab kuchh aur baDhate haf-iqlim bhi mil jate
hum ne to kuchh TuTe-phuTe jumlon hi pe qanaat ki

shohrat ke gahre dariya mein Dube to phir ubhre nahin
jin logon ko apna samjha jin logon se mohabbat ki

ek doraha aisa aaya donon TuT ke gir jate
bachchon ke hathon ne sambhaala buDhon hi ne hifazat ki

jama-e-ulfat bunte aae rishton ke dhagon se hum
umr ki qainchi kaT gai ab kahe ko itni mehnat ki