اردو हिंदी
Ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai | Shaahi Shayari
ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai

Ghazal

Ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai

Kumar Pashi

;

ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai
main be-shak mismar hun lekin mera sani baqi hai

dasht-e-junun ki KHak uDane walon ki himmat dekho
TuT chuke hain andar se lekin man-mani baqi hai

hath mere patwar bane hain aur lahren kashti meri
zor hawa ka qaem hai dariya ki rawani baqi hai

gahe gahe ab bhi chale jate hain hum us kuche mein
zehn buzurgi oDh chuka dil ki nadani baqi hai

kuchh ghazlen un zulfon par hain kuchh ghazlen un aankhon par
jaane wale dost ki ab ek yahi nishani baqi hai

nai nai aawazen ubhrin 'pashi' aur phir Dub gain
shahr-e-suKHan mein lekin ek aawaz purani baqi hai