ek kafir se mohabbat ho gai
zindagi kaTni musibat ho gai
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
aas kya TuTi ki fursat ho gai
ishq ne pahuncha diya is haal ko
dekhne walon ko ibrat ho gai
ab na chahenge kisi ko bhul kar
tum ko dil de kar nasihat ho gai
ye junun-e-ishq ke andaz hain
apne sae se bhi wahshat ho gai
jis ne us ko pa liya wo kho gaya
jis ne dekha us ko hairat ho gai
dil mein hi rakhni thi 'shankar' dil ki baat
munh se nikli to shikayat ho gai
Ghazal
Ek kafir se mohabbat ho gai
Shankar Lal Shankar