ek jalwa ba-sad andaz-e-nazar dekh liya
tujh ko hi dekha kiye tujh ko agar dekh liya
jaise sar phoD ke mil jaegi zindan se najat
kya junun ne koi diwar mein dar dekh liya
baz hai aaj talak dida-e-hairan ki tarah
dasht-e-wahshat ne kise KHak-basar dekh liya
jurm-e-nazzara ki pata hai saza dil ab tak
ahl-e-dil dekh liya ahl-e-nazar dekh liya
surat-e-naqsh-e-qadam dida-e-mushtaq hain hum
jab bhi wo aaya sar-e-rahguzar dekh liya
yahi hasrat hai ki wo ek nazar dekh to le
aur us ne kabhi is samt agar dekh liya
kahin parda hai tajalli kahin jalwa hai hijab
ye tamasha bhi tera zauq-e-nazar dekh liya
roz ek taza gham-e-dahr hai nazil 'tabish'
ek tufan-e-bala ne mera ghar dekh liya
Ghazal
Ek jalwa ba-sad andaz-e-nazar dekh liya
Tabish Dehlvi