ek jaise nim-jaan mahaul-o-manzar dur tak
be-nawa be-nam logon ke samundar dur tak
bas wahi lafzon ki barish ek si har abr se
ek se pyasi zaminon ke muqaddar dur tak
KHak hote aatish-e-ehsas-e-mahrumi se dil
barf-e-mayusi mein jakDe zehn aksar dur tak
zindagi ko naginon ki tarah Dasti goliyan
zahr baDhta phailta andar hi andar dur tak
dur tak kale dhuen mein KHun ki bu tairti
tairti aur marsiye likhti hawa par dur tak
Ghazal
Ek jaise nim-jaan mahaul-o-manzar dur tak
Manzar Saleem