ek jag bit gaya jhum ke aae baadal
wo samundar hi kahan hai jo uThae baadal
na kabhi TuT ke barse na ye mayus kare
dur hi dur se aankhon lubhae baadal
raat aai ki kahin aap ne khole gesu
dosh par shoKH hawaon ke jo aae baadal
ye zamin chiKHti rahti hai ki pani pani
koi tufan koi sailab hi lae baadal
mere sar par to sada dhup ke neze chamke
wo musafir main kahan hun ki jo pae baadal
kho gae jaane kahan tund hawaon ke baghair
ek muddat se hai suraj ko chhupae baadal
megh malhaar ki lai aag ugati hai 'shamim'
pichhli barsat ki phir yaad dilae baadal
Ghazal
Ek jag bit gaya jhum ke aae baadal
Syed Ahmed Shameem