ek jagah pe nahin hai mujhe aaram kahin
hai ajab haal mera subh kahin sham kahin
chashm ne jo yamani laKHt jigar ke kho de
un nagin ka to nahin sunte hum ab nam kahin
apni qismat mein mai-e-saf to saqi malum
kash phenke tu idhar durd-e-tah-e-jam kahin
ai falak tarah se makDi ki tu jalon ko na pur
wo jo shahbaz hain aate hain tah-e-dam kahin
us kamar se nigah-e-shauq lipaTti to hai lek
ji ye dhaDke hai ki aa jae na ilzam kahin
tum ne ki dil ki talab hum bhi kahawenge wa-lek
yun ye farmaishen hoti hain sar-anjam kahin
pa-e-diwar se phir meri tarah wo na uTha
jin ne dekha tujhe yakbar sar-e-baam kahin
uzr-e-taqsir bhi chahunga main us se ai dil
Tuk tu KHamosh ho dene se wo dushnam kahin
azm kaba ka tu 'qaem' to kiya hai lekin
rahn-e-mai kijo na wan jama-e-ehram kahin
Ghazal
Ek jagah pe nahin hai mujhe aaram kahin
Qayem Chandpuri