ek ishaare mein badal jata hai maiKHane ka nam
chashm-e-saqi teri gardish se hai paimane ka nam
pahle tha mauj-e-bahaaran dil ke lahrane ka nam
maskan-e-barq-e-tapan hai ab to kashane ka nam
aas jis ki ibtida thi yas jis ki intiha
ai dil-e-nakaam kya ho aise afsane ka nam
rang la kar hi raha aaKHir mohabbat ka asar
aaj to un ki zaban par bhi hai diwane ka nam
aasman par barq gulshan mein saba dariya mein mauj
jis jagah dekho naya hai zulf lahrane ka nam
maut ho ya wo hon donon hain ilaj-e-dard-e-dil
wa-e-qismat ek bhi leta nahin aane ka nam
zulf-e-mushkin lala-ruKH gul-pairahan mast-e-bahaar
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
ishq ki taswir ka ye dusra ruKH hai 'waqar'
shama jalti hai magar hota hai parwane ka nam
Ghazal
Ek ishaare mein badal jata hai maiKHane ka nam
Waqar Bijnori