اردو हिंदी
Ek ek tar-e-nafas aashufta-e-ahang tha | Shaahi Shayari
ek ek tar-e-nafas aashufta-e-ahang tha

Ghazal

Ek ek tar-e-nafas aashufta-e-ahang tha

Amir Nazar

;

ek ek tar-e-nafas aashufta-e-ahang tha
ab ki bazar-e-dar-o-diwar ka kya rang tha

paikar-e-KHashak ki dida-wari pighli kahan
Dubte suraj ka daman KHwab-gah-e-sang tha

kab talak poshida rahti hasrat-e-shahr-e-talab
waqt ki diwar par aaina-e-nairang tha

ahd-e-rafta ki bahut koshish rahi ho sulh phir
lamha-e-betab aamada bara-e-jang tha

pattharon ne is tarah ki zaKHm ki chaaragari
dekh kar diwar wahshat ka bhi chehra dang tha

ek din oDhi thi dil ne aahani chadar kabhi
ab talak 'amir' mere gham par nishan-e-zang tha