اردو हिंदी
Ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar | Shaahi Shayari
ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar

Ghazal

Ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar

Aadil Raza Mansoori

;

ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar
ras aata hai kise hijr manata hua ghar

KHwab ke KHadshe se ab nind uDi jati hai
main ne dekha hai use chhoD ke jata hua ghar

gar zaban hoti to patthar hi batata sab ko
kis qadar TuTa hai wo KHud ko banata hua ghar

us ka ab zikr na kar chhoD ke jaane wale
tu ne dekha hi kahan ashk bahata hua ghar

ab use yaad kahun yas kahun ya wahshat
mujh ko aata hai nazar KHak uData hua ghar

thak gaya kya mere tulani safar se 'adil'
so gaya sath mere mujh ko sulata hua ghar